Excellent lyrics, beautiful voice, perfect whistling makes this song really a treat to listen
sambhaalaa hai maine bahut apne dil ko,
zubaan par teraa fir bhee naam aa rahaa hai
jahaa raaz ko chhupaayaa naa jaaye,
mohabbat mein aisa makaam aa rahaa hai
banaayaa hain maine tujhe apanaa saathee,
rahe kis tarah fir mere hosh baakee
nazar yun bahakane lagee hai ki jaise,
mere saamne koee jaam aa rahaa hai
ye Zulfon ke baadal ghanere, ghanere,
mere baajooon par jo too ne bikhere
mai samjha ki jaise meree dhadakanon ko,
teree dhadakanon kaa payaam aa rahaa hai
No comments:
Post a Comment